donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi aankho.N se chahat phoot padti hai *

GHAZAL

Kabhi aankho.N se chahat phoot padti hai
Achanak hi mohabbat phoot padti hai

agar qaus-e quzah ko ghaur se dekhu.N
tere chehrey ki rangat phoot padti hai

Nahi tarke-marasim ka gila koii
Yunhi milne ki hasrat phoot padti hai

hamari yu.N kisi se dushmani hai kab
teri khaatir raqabat phoot padti hai

kahi.N dam tod deti hai qana.at bhi
kabhi hulye se ghurbat phoot padti hai

inhi lafzo.N me hai tehzeeb o yak-jehti
inhi lafzo.N se nafrat phoot padti hai

kabhi aa.nsu gire.N jo sajda-rezi me
mere maula ki rehmat phoot padti hai

mohabbat ki Sukhan zarkkhez hai mitti
Har ik mausam me chahat phoot padti hai


*************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 421