donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo bichar jaatey hai.n sab se Waqt ki raftaar mei.n *

GHAZAL

Jo bichar jaatey hai.n sab se Waqt ki raftaar mei.n
Baith jaatey hai.n wo thak kar saya- e- devaar mei.n

maine khaakastar kiye jhooti ana ke sabz bagh
khud-shanaasi aa gayi jab se mere kirdaar mei.n

ho zulekha sa kisi mei.n aaj jo husne-nazar
ham bhi yusuf ki tarah bik jayengey baazaar mei.n

ajnabiyyat odh kar is shehr me phirtey hai.n sab
aashnaai kho gai hai deda-e-aazaar mei.n

phir badan ki har haqeeqat ho gai hai zere-khaak
kho gaya hai phir se koi rooh ke asraar mei.n

mere matlab ka yaha.n kuch bhi nahi, kuch bhi nahi
main Sukhan chalkar yaha.n tak aa gaya bekaar mei.n


***********

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 449