donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Wo khwahisho.N ka meri sar-phira sa lashkar hai *

GHAZAL

Wo khwahisho.N ka meri sar-phira sa lashkar hai
jo mujh se barsare-paikaar mere ander hai

ajab dayaar mei.n aaya hoo.n,aur hairaaN hoo.n
yahan faqeer ki surat har ik tawangar hai

Navaah-e-dil mei.n utarrte hai.n yaad ke panchi
mashaame-rooh tere zikr se munawwar hai

sukhan ke kuch dure-naayaab dhoondne ke liye
tahe-khayaal meri fikr ka shanavar hai

har eik shakhs se wahshat ,har eik gham se mafar
nihas ki kaun si saa.at ka saaya ham par hai

Naqooshe-rafta to sarey hi mite-tey jaate hai.n
Koi bhi lamha kaha.n zehn mei.n mukarrar hai

har eik dar pe sawali, har ek gali mei.n sada
hamara dil hai Sukhan ya koi gadagar hai


**************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 491