donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai.n eik shaakhe-tamanna pe khil gaya hoo.N abhi *

TARHI GHAZAL

Mai.n eik shaakhe-tamanna pe khil gaya hoo.N abhi
Nigaahe-gulcheeN se lekin dara dara hooN abhi

Abhi ye haal k gham kya,,khushi, khushi na lagey
Bahut ajeeb si uljhan mei.n mubtela hooN abhi

Ye soch kar k ye sooraj to dhal hi jana hai
Be-sayebaan se rastey pe chal pada hooN abhi

Na tere ghar ka pata aur na maikada maloom
Main tere shehr me bilkul naya naya hoon abhi

Mere qareeb ke jangal to sarey sookh gaye
Main chashme-tar ki badaulat hara-bhara hooN abhi

yahan pe dil ke dharakney ki bazgasht nahiN
isi liye to sukhan mai.n bhi be-sada hooN abhi


**************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 435