donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sadkei.n bhi chup hai.n, meel ke pather bhi ghar gaye *

GHAZAL

Sadkei.n bhi chup hai.n, meel ke pather bhi ghar gaye
ab tak khada hoo.n mai.n wahi.N, rastey guzar gaye

dushwar aisa unka ta.aqub na tha magar
wo log jaatey jaatey mere par katar gaye

Ab husn Etebaar ki baaho.N me aachuka
ab saari ehtiyato.N ke mousam guzar gaye

ik baar hi kaha tha faqat usne aafreei.N
phir wasl ki ruto.N ke muqaddar sanwar gaye

kya inqelaab ishq ki qadro.N mei.n aa gaya!
aankho.N se baat karne ke saarey hunar gaye

mushkil bahut the tarke-ta'.alluq magar sukhan
kuch ikhtelaaf raasta aasaa.n kar gaye


************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412