donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Fitrat-e-teeragi tabdeel nahi ho paati *

GHAZAL


Fitrat-e-teeragi tabdeel nahi ho paati
Roshni rooh mei.n tehleel nahi ho paati

chand mamooli inayaat se bhar jati hai
ye hatheli kabhi zambeel nahi ho paati

uski aankho.N ke hasee.N zaaviye jo boltey hai.N
us ke lafzo.N se wo tarseel nahi ho paati

mere kashkol mei.N kitni hai.N, adhoori ghazlei.N
kya karu.N fursat-e-takmeel nahi ho paati

aqle-insaan mei hai aagahi itni roshan
Jitni roshan koi qindeel nahi ho paati

Koshishe-amn mohabbat se hi poori hogi
noke-khanjar se ye takmeel nahi ho paati

husne-jana.N mei.N hai.N ra.naayi ke pehlu itne
aye Sukhan san.ate- ta.aleel nahi ho pati


*******

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 437