Wo dayera teri chahat ka mukhtasar na hua
ajab hai kya koi shola agar sharar na hua
gaye bhi aaye bhi mausam kai udaasi ke
shajar umeedoN ka lekin ye be-samar na hua
wo aahatein badi maouhoom thiN tabahi ki
qareeb aati rahiN koi baa-khabar na hua
shikast dene safe-dushmanaN me aa pahuncha
hareef reh ke mera jab wo kaargar na hua
bas eik sange-malamat ana tak aaya tha
phir us taraf se hamara kabhi guzar na hua
sukhan ki manzileN hoN yaa udaan lafzoN ki
tera khayal kahi.n bhi shikasta par na hua
****************