donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Un pe guzri koi Saa.at to AzaaboN ki tarah *

GHAZAL

Un pe guzri koi Saa.at to AzaaboN ki tarah
jo samandar nazar aatey haiN, SaraaboN ki tarah

Qais o farhaad k qissey they hamari meeraass
unko padhtey rahey ham log NisaaboN ki tarah

Zulmate-shab mei.n mahak uTh-ti hai.n yaadeiN aksar
Teri zulfoN ke saman aur GulaaboN ki tarah

Zindagii kaise guzaari koi ham se poochey
Soyi aankhoN ki tarah, jaagtey KhwaboN ki tarah

Ab nayi nasl ke bachchey nahi padhtey inko
hain Buzurg aaj ke, farsooda KitaboN ki tarah

uski masnad hai hami khaak-nasheenoN ki ata.a
ham se milta hai jo ab aali-janaboN ki tarah

har zamane mei.n Sukhan surkh-ru ham log huye
har taghayyur pe nazar rakhkhi uqaaboN ki tarah


*************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 428