donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaj phir mere tasavvur ka hai mehvar chandni *

Ghazal

Aaj phir mere tasavvur ka hai mehvar chandni
Jaa- ba-Ja chitki hui wo khwab-paikar chandni

Wo salona roop lekar baam par aaye agar
dekhti hai shokhiyoN se usko ruk kar chandni

Ru-siyaahi ban gayi hai har amaavas ka naseeb
Hai magar poonam ki raatoN ka muqaddar chandni

AahatoN se ho gaye bedaar phir kitne kahyal
Raat ke zeene se aayi hai utar kar chandni

Ek ridaaye-noor bankar chaa gayi hai farsh par
ban gayi hai khet–khalyaano ka bistar chandni

Shabnami poshaak pehne aakhirash rukhsat hui
chand qatrey mere chehre par gira kar chandni

Eik manzar hai Milan ka zehn meiN ab tak sukhan
Raat ka pichla pehar, taarey, samander, chandni


******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 450