donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Azm ki mere sunaaye.ngi ki kahani kashtiya.N *

GHAZAL


Azm ki mere sunaaye.ngi ki kahani kashtiya.N
Saahilo.N tak leke aaya Mai.N purani kashtiya.N

hai qayas-aaraiyo.n mei ek khabar sailaab ki
daal di hai.n sab ne paani mei.N zabaani kashtiya.N

Dayrey si khenchti.N lehro.n ke, sat-he-aab par
Jheel ke paani mei lagti hai.N suhaani kashtiya.N

shab ke sannate mei.n tanha hai.N faseele-aab par
kar rahi hai.N sahilo.N ki paasbani kashtiya.N

phir hawa ka rang roomani hua, langar khuley
Phir bulati hai.N kisi ko baadbani kashtiya.n

Khair maqdam keh rahi hai shokhiy e mishga.N Sukhan
Uski aankhei.N hai.N ya koi mezbaani kashtiya.N


************
















 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 486