donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri ek talab ke jawab meiN, koi muskura ke chala gaya *

GHAZAL

Meri ek talab ke jawab meiN, koi muskura ke chala gaya
Mujhey phir se mausime-wasl ka, wo hasee.n khwab dikha gaya

Dile mezbaa.n mei.n ranj ka, yahi muddatoN se hai silsila
Koi din mei.n aa k thehar gaya, koi raat reh ke chala gaya

Wo milan ki awwaleiN sa.ateiN, Wo kisi ka lams, inayateiN
kabhi wo khumaar mei.n tar hua, kabhi mujh pe nash.sha sa cha gaya

ghame- aashiqi ho tera bhala, tujhey yaad rakhunga mai.n sada
isi eik naam-e- wafa pe bas, mujhey baar baar.chhala gaya

yahi dekh kar to mai.n dang tha, bhala mai.n bhi kya koi sang tha
K wo kaar-e-khair samajh ke Yu.n, ,mujhey raastey se hata gaya

jinhe rakhkha maine snbhaal kar, jo the jaan se bhi azeez tar
kabhi saile-ashk tha josh par, wo unhi khatoN ko gala gaya

wahi lafz they wahi tha sukhan, wahi laut pher ke guftugu
jo kaha gaya wo suna gaya, jo suna gaya wo kaha gaya


****************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 545