donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Azm ki mere sunaayengi kahani kashtiyaN *

GHAZAL
------------


Azm ki mere sunaayengi kahani kashtiyaN
SaahiloN tak leke aaya MaiN purani kashtiyaN

hai qayas-aaraiyo.n mei ek khabar sailaab ki
daal di hain sab ne paani meiN zabaani kashtiyaN

Dayrey si khenchtiN lehro.n ke, sat-he-aab par
Jheel ke paani mei lagti haiN suhaani kashtiyaN

shab ke sannate mei.n tanha haiN faseele-aab par
kar rahi haiN sahiloN ki paasbani kashtiyaN

phir hawa ka rang roomani hua, langar khuley
Phir bulati haiN kisi ko baadbani kashtiya.n

Khair maqdam keh rahi hai shokhiy e mishgaN Sukhan
Uski aankheiN haiN ya koi mezbaani kashtiyaN


**************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 431