donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab se goya hui khamushi ki zabaN *

GHAZAL

Jab se goya hui khamushi ki zabaN
bezabaN ho gai har kisi ki zabaN

dam-bakhud haiN ujaaley isi baat par
ek diya le udaa roushni ki zabaN

baat apni hi kehta hooN maiN dosto
mere muh mein nahi hai kisi ki zabaN

Us ke lehje meiN khushbu gulaboN ki hai
bolta hai koi meer ji ki zabaN

husne-guftaar bhi, husne-izhaar bhi
kis qadar hai haseeN shairi ki zabaN

us ke hosh o khirad dast-basta huye
jo samajhne laga,be-khudi ki zabaN

Eik Qause-quzaaH hai ye URDU Sukhan
rang- nairang ki, naghmagi ki zabaN


*************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 430