donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Wahab Sukhan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sach hone ka jin ke nahi imkaan abhi tak *

GHAZAL

sach hone ka jin ke nahi imkaan abhi tak
aatey haiN mujhye yaad, wo paima.n abhi tak

SaansoN meiN mehakti hai tere lams ki khushboo
barpa hai meri rooh meiN heijaan abhi tak

Dam tod chuki hai tujhey paane ki tamanna
zinda hai magar deed ka armaan abhi tak

jisne mujhey ik umr kahiN ka nahi rakhkha
hai aankhoN meiN wo khawab-e-parishaan abhi tak

har zaaviya e husn ke maddaah hazaro
qayam hi nahi ishq ka meezaan abhi tak

hat-tey hi nahi zehn se wo wasl ke lahme
aabad hai yaadoN ka paristaan abhi tak

qayam hai sukhan lazzate-giryaa ki rivayat
hai ghar mei.n mere MEER ka deevaan abhi tak


***********

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406