donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdus Salam Aasim
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa phir koyee khawab kahaani likhte hai.n *

Aa phir koyee khawab kahaani likhte hai.n
Aik thaa raja aik thee raani likhte hai.n

Sach hai magar ham ahle sukhan bas yu.nhi nahi.n
Shab ko sahar aur aag ko paani likhte hai.n

Yaad na aaye gar to shukur baja lana
Aaj tumhei.n ik baat puraani likhte hai.n

Ham ne nahi.n seekha aadhe se chaunkana
Jab likhte hai.n poori kahani likhte hai.n

Jamhoori tahzeeb mei.n bhi kuchh khaamaa farosh
Naaqid ko Zille Subhani likhte hai.n

Bahte hai.n sab dhaare lekin ham Aasim
Sab ko kahaa.n maujo'n ki rawaani likhte hai.n


S-302, Taj Enclave, Geeta Colony (East)
Delhi-110031

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 323