Ek framosh kahani mei.n raha,
Mai.n jo ud aankh ke pani mei.n raha,
Rukh se urta hua woh rung-e-bahar,
Eik tasweer purani mei.n raha,
Mai.n ki madoom raha soorate khwab,
Phir kisi yaad dahani mei.n raha,
Dung ke eik thikane ke liy,
Gher ka gher naql maqani mei.n raha,
Mai’n ttharta gaya raftah raftah,
Aur yeh dil apni ravani mei.n raha,
Woh mera naqdh-e-kaf-e-pay talab,
Ahed-e-raftah ki nishani mei.n raha,
Mai.n ki hungamah eik khuab liye,
Koi din aalame fani mei.n raha .