donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N, *

Ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye,
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye ,

hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Ghunche,
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGhaam hii aaye ,

lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N,
yaad aae hai.n jab bhii Gham-o-aalaam hii aaye ,

taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa,
maqduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye ,

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Ghamo.n ke,
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye ,

kyaa raah badalne kaa gilaa ham safro.n se,
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye ,

thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa,
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye ,

baaqii na rahe saaKh Adaa dasht-e-junuu.N kii,
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346