donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche *

ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGham hii aaye

lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye

taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye

thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye

baaqii na rahe saaKh Adaa dasht-e-junuu.N kii
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye

*****

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343