donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Honto.n pe kabhi un ke mera naam hi aye *

Honto.n pe kabhi un ke mera naam hi aye
Aye to sahi, bar sar-e-ilzam hi aye

Hairan hai.n labb basta hai.n, dilgeer hai.n ghunche
Khushbu ki zubaani tera paigham hi aye

Lamhaat mussarat hai.n tasawwur se gurezaa.n
Yaad aye hai.n jab bhi ghum-o-aalaam hi aye

Taaron se saja lenge raah-e-sheher-e-tamanna
Maqdoor nahi subha chalo shaam hi aye

Kya raah badalne ka gila humsafaro.n se
Jis rah se chale tere dar-o-baam hi aye

Thak haar ke bethe hai.n sar kooye tamanna
Kaam aye to phir jazba-e-nakaam hi aye

Baqi na rahe saakh Ada dasht-e-junoo.n ki
Dil me.n agar andesha-e-ajnaam hi aye

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 509