Ada Jafri
achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana
dua aasan nahi.n rahna suKHan dushwar ho jaana
tumhei.n dekhe.n nigahe.n aur tum ko hi nahi.n dekhe.n
mohabbat ke sabhi rishto.n ka yun nadar ho jaana
abhi to be-niyazi mei.n taKHatub ki si KHushbu thi
hamei.n achchha laga tha dard ka dildar ho jaana
agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo
hamei.n aata hai patjhaD ke dino.n gul-bar ho jaana
abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hai.n kunj-e-mizhgan mei.n
agar tum is taraf aao saba raftar ho jaana
hawa to ham-safar Thahri samajh mei.n kis tarah aae
hawao.n ka hamari rah mei.n diwar ho jaana
abhi to silsila apna zamin se aasma.n tak tha
abhi dekha tha raato.n ka sahar aasar ho jaana
hamare shahr ke logo.n ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
****************