donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gulo.n si guftugu kare.n qayamato.n ke darmiya.n *

Ada Jafri

 

gulo.n si guftugu kare.n qayamato.n ke darmiya.n
hum aise log ab mile.n hikayato.n ke darmiya.n
lahuluha.n ungliya.n hai.n aur chup khaDi hu.n mai.n
gul o saman ki be-panah chahato.n ke darmiya.n
hatheliyo.n ki oT hi charagh le chalu.n abhi
abhi sahar ka zikr hai riwayato.n ke darmiya.n
jo dil mei.n thi nigah si nigah mei.n kiran si thi
wo dasta.n ulajh gai wazahato.n ke darmiya.n
sahifa-e-hayat mei.n jaha.n jaha.n likhi gai
likhi gai hadis-e-jaan jarahato.n ke darmiya.n
koi nagar koi gali shajar ki chhanw hi sahi
ye zindagi na kaT sake masafato.n ke darmiya.n
ab us ke KHal-o-KHad ka rang mujh se puchhna abas
nigah jhapak jhapak gai iradato.n ke darmiya.n
saba ka hath tham kar ada na chal sakogi tum
tamam umr KHwab KHwab saato.n ke darmiya.n


******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 196