donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har ek daricha kiran kiran hai jaha.n se guzre jidhar gae hai.n *

har ek daricha kiran kiran hai jaha.n se guzre jidhar gae hai.n
hum ek diya aarzu ka le kar ba-tarz-e-shams-o-qamar gae hai.n
jo meri palko.n se tham na pae wo shabnami.n mehrba.n ujale
tumhaari aankho.n mei.n aa gae to tamam raste nikhar gae hai.n
wo dur kab tha harim-e-jaan se ki lafz o mani ke naz uThati
jo harf ho.nTo.n pe aa na pae wo ban ke KHushbu bikhar gae hai.n
jo dard isa-nafas na hota to dil pe kya etibar aata
kuchh aur paiman kuchh aur paikan ki zaKHm jitne the bhar gae hai.n
KHazine jaan ke luTane wale dilo.n mei.n basne ki aas le kar
suna hai kuchh log aise guzre jo ghar se aae na ghar gae hai.n
jab ek nigah se KHarash aai zamane bhar se gila hua hai
jo dil dukha hai to ranj sare na jaane kis kis ke sar gae hai.n
shikast-e-dil tak na baat pahunchi magar ada kah sako to kahna
ki ab ke sawan dhanak se aanchal ke rang sare utar gae hai.n

*****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 228