donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kanTa sa jo chubha tha wo lau de gaya hai kya *

kanTa sa jo chubha tha wo lau de gaya hai kya
ghulta hua lahu mei.n ye KHurshid sa hai kya
palkon ke bich sare ujale simaT gae
saya na sath de ye wahi marhala hai kya
mai.n aandhiyo.n ke pas talash-e-saba mei.n hu.n
tum mujh se puchhte ho mera hausla hai kya
sagar hu.n aur mauj ke har daere mei.n hu.n
sahil pe koi naqsh-e-qadam kho gaya hai kya
sau sau tarah likha to sahi harf-e-arzu
ek harf-e-arzu hi meri intiha hai kya
ek KHwab-e-dil-pazir ghani chhanw ki tarah
ye bhi nahi.n to phir meri zanjir-e-pa hai kya
kya phir kisi ne qarz-e-murawwat ada kiya
kyu.n aankh be-sawal hai dil phir dukha hai kya

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 258