donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha *

koi sang-e-rah bhi chamak uTha to sitara-e-sahari kaha
meri raat bhi tere nam thi use kis ne tira-shabi kaha
mere roz o shab bhi ajib the na shumar tha na hisab tha
kabhi umr bhar ki KHabar na thi kabhi ek pal ko sadi kaha
mujhe jaanta bhi koi na tha mere be-niyaz tere siwa
na shikast-e-dil na shikast-e-jaan ki teri KHushi ko KHushi kaha
koi yaad aa bhi gai to kya koi zaKHm khil bhi uTha to kya
jo saba qarib se ho chali use minnato.n ki ghaDi kaha
bhari dopahar mei.n jo pas thi wo tere KHayal ki chhanw thi
kabhi shaKH-e-gul se misal di kabhi us ko sarw-e-samani kaha
kahi.n sang-e-rah kahi.n sang-e-dar ki mai.n pattharo.n ke nagar mei.n hu.n
ye nahi.n ki dil ko KHabar na thi ye bata ki munh se kabhi kaha
mere harf harf ke hath mei.n sabhi aaino.n ki hai.n kirchiya.n
jo zaba.n se ho na saka ada ba-hudud-e-be-suKHani kaha

*******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 258