donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nigah oT rahun kasa-e-KHabar mei.n rahu.n *

nigah oT rahun kasa-e-KHabar mei.n rahu.n
main bujhte bujhte bhi pairahan-e-sharar mei.n rahu.n
main KHud hi roz tamanna mei.n aap sham-e-firaq
ajab nahi.n jo akeli bhare nagar mei.n rahu.n
sulag uThi to andhero.n ka rakh liya hai bharam
jo raushni ho.n to kyu.n chashm-e-nauha-gar mei.n rahu.n
tamam umr safar mei.n guzar du.n apni
tamam umr tamanna-e-rahguzar mei.n rahu.n
likha gaya mujhe aawaz-e-KHamushi ki tarah
KHud apna aks banu.n saya-e-hunar mei.n rahu.n
wo tishnagi thi ki shabnam ko honTh tarse hai.n
wo aab hu.n ki muqayyad guhar guhar mei.n rahu.n
ada mai.n nikhat-e-gul bhi na thi saba na thi
ki mehma.n si rahu.n aur apne ghar mei.n rahu.n

******************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 225