donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ada Jafri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahi.n hota *

ujala de charagh-e-rahguzar aasan nahi.n hota
hamesha ho sitara ham-safar aasan nahi.n hota
jo aankho.n oTh hai chehra usi ko dekh kar jina
ye socha tha ki aasan hai magar aasan nahi.n hota
baDe taba.n baDe raushan sitare TuT jate hai.n
sahar ki rah takna ta sahar aasa.n nahi.n hota
andheri kasni raate.n yahi.n se ho ke guzrengi
jala rakhna koi dagh-e-jigar aasan nahi.n hota
kisi dard-ashna lamhe ke naqsh-e-pa saja lena
akele ghar ko kahna apna ghar aasan nahi.n hota
jo Tapke kasa-e-dil mei.n to aalam hi badal jae
wo ek aansu magar ai chashm-e-tar aasan nahi.n hota
guma.n to kya yaqi.n bhi waswason ki zad mei.n hota hai
samajhna sang-e-dar ko sang-e-dar aasa.n nahi.n hota
na bahlawa na samjhauta judai si judai hai
ada socho to KHushbu ka safar aasa.n nahi.n hota

*****************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 209