donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujhse Meri Ammi Kehtin Hein *
Mujhse Meri Ammi Kehtin Hein 
December Ke Thandey Mahiney Main 
Jabh Main Iss Duniya Main Ai Thi 
Woh Raat Thi Lambi Aur Kaali 
Aur Hoi Thi Bohat Hi Barish Tabh 
Badal Baar Baar Garjey The 
Giri Aur Chamki Thi Bijli 

Tabh Se Ley Kar Abh Tak 
Har Saal Bai’s December Ko 
Jabh Saal Ki Lambi Raat Hoti Hey 
Meri Tabh Sal-girah Hoti Hey 

Har Saal Uss Raat Barish Hoti Hey 
Badal Garajtey Hain Barastey Hain 
Pata Nahi Kion Taraptey Aur Rotey Hain 
Lagta Hey Merey Ghum Aur Dhuk Dhotey Hain 
Meri Badnaseebi Baha Leyjaney Ki 
Shayad Ik Nakam Koshish Kartey Hain 

Jabh Bijli Zameen Per Girti Hey 
Woh Na insafi’an Woh Dardnak Yaadain 
Mera Woh Bachpan Ka Khof Mujhper 
Phir Se Ikk Baar Havi Hota Hey 

Hamesha Ki Terah Akeley Main 
Beth Kar Main Andherey Main 
Sabh Se Chup Chup Kar Roti Hoon 
Asman Bhi Mujh Sang Rota Hey 

Har Saal Bais December Ko 
Meri Salgirah Jabh Hoti Hey 
Main Yeh Bohat Sochti Hoon 
Yeh Asman Kion Tarapta Rota Hey 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359