donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karri Dhoop Main Jall Rahi Hoon Main *
Karri Dhoop Main Jall Rahi Hoon Main 
Arsay Se Tanha Larr Rahi Hoon Main 

Ujaloon Ko Talash Rahi Hoon Inh Andheroon Main 
Apni Rah Se Kantey Aur Kankar Chunn Rahi Hoon Main 

Aik Bhi Tu Phool Nahi Khilla Chaman-e-Hayat Main 
Nanni Kaliyoon Ko Marta Dekh Rahi Hoon Main 

Mujhe Tu Pata Hi Nahi Manzil Ka Meri 
Inh Chamaktey Jugnoun Ke Peechey Chal Rahi Hoon Main 

Bojh Othaye Hoey Hoon Main Logon Ki Ruswaion Ka 
Girtey Bikhartey Phir Se Sambhall Rahi Hoon Main 

Bhojja Rahi Hoon Khud Hi Apney Ander Ki Piyas 
Apney Ashq Zamaney Se Pee Rahi Hoon Main 

Kisi Ne Phenka Hey Onchai Se Neechey Mujhe 
Phir Se Bulandi Ke Khwab Dekh Rahi Hoon Main 

Merey Armaan Aur Sapney Jo Hain Toot Gaye 
Onhi Ke Sach Honey Ki Umeed Kar Rahi Hoon Main 

Apney Chehrey Pe Chehra Laga Lia Hey Mainey 
Bahir Hass Aur Ander Roo Rahi Hoon Main 

Koi Shikwa Nahi Raha Maan Liya Yehi Hey Naseeb Mera 
Abh Tu Chup Chaap Muskuratey Jee Rahi Hoon Main 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366