donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kia Tum Bhi Meri Terha Chalti Hawaon Ko *
Kia Tum Bhi Meri Terha Chalti Hawaon Ko 
Choney Ki Koshish Kartey Ho 
In Fizaon Main Jesey Main 
Tumhari Mehak Mehsos Karti Hoon 
Weseyhi Mujhko Kia Tum Bhi 
Apney Gird Youn Patey Ho 

Kia Tum Bhi Shabb Ki Tanhai Main 
Meri Terah Jaggte Rehtey Ho 
Aur Jesey Main Tumhari Yaad Ke Diye Se 
Roshni Bakhairti Rehti Hoon 
Ossi Terah Kia Tum Bhi 
Apney Andheron Ko Roshan Kartey Ho 

Kia Tum Bhi Chatt Pe Ja Ke 
Aftab Ko Pehroon Taktey Ho 
Yeh Sochtey Ho Kia Meri Terha 
Ke Aaj Tumharey Haan Bhi Chand Nikla Hoga 
Chand Kia Tumhey Bhi Kia 
Kuch Kuch Mujhsa Dikhta Hey 
Jesey Tum Mujhko Falak Ka 
Woh Pyara Chanda Lagtey Ho 

Kia Tumhari Aankhain Bhi Yaqdamm 
Kisi Ikk Kheyal Se Chamak Uthti Hain 
Aur Tum Bhi Akeley Kharey Muskatey Ho 
Kehti Hain Sabhi Sahelian Meri Mujhe 
Meri Yeh Aankhain Tak Ke 
Main Soi Nahi Kuch Raaton Se 
Tumharey Dost Bhi Kia Tumko 
Aisa Hi Kuch Kehtey Hain 

Kia Tumhara Dil Bhi Har Pall 
Beychain Tarapta Rehta Hey 
Tum Bhi Kia Agli Molaqat Tak 
Har Pall Gharian Gintey Rehtey Ho 
Sabbar Tumse Bhi Kia Nahi Hota 
Inteezar Meri Terah Kia Tumko Bhi 
Moushkil Aur Kathin Sa Lagta Hey 

Kia Tanha Rah Main Chaltey Chaltey 
Tumharey Kadam Bhi Roktey Hain 
Tum Bhi Kia Yeh Sochtey Ho 
Ke Meri Aur Tumhari Rahain 
Kabh Hounge Aik 
Jabh Tum Ho Gey Humsafar Merey 
Aur Hathon Main Hardam Hounge Haath 
Raston Per Chaltey Aisey Kheyal 
Atey Hain Kia Tumko Bhi 

Kia Tum Bhi Behayalli Main 
Naam Mera Dohratey Ho 
Kia Tumhara Mann Bhi Mujhko 
Pukarta Hey Bolata Hey 
Jesey Mera Mann Tumhey Sadain Daita Hey 
Kagaz Pe Kia Tum Bhi Meri Terah 
Apna Aur Mera Naam Likhtey Rehtey Ho 

Kia Tum Bhi Apney Hathon Main Mujhe 
Dhondtey Ho Talash Kartey Ho 
Muqaddar Apna Meri Terah Kia Tum Bhi 
Sirf Mujhko Hi Mantey Ho 
Apni Aankhon Main Kia Tum Bhi 
Meri Hi Tasveer Bas Patey Ho 
Har Shaks Jesey Mujhko Tumsa Dikhta Hey 
Tumhey Bhi Kia In Logon Main 
Main Hi Main Sirf Dikhti Hoon 

Kia Tum Meri Awaz Son Kar Ghabratey Ho 
Jesey Main Tumhey Sun Kar Sharmati Hoon 
Tumhari Ikk Ikk Ahat Per 
Dil Taiz Taiz Dharakta Hey 
Kia Mujhko Ata Dekh Kar 
Tumhari Sansain Bhi Barti Hain 

Kia Tumhey Bhi Koi Aur Nahi Bhata 
Mera Hi Kheyal Tumhey Kia Sirf Ata Hey 
In Pholon Main In Kalliyon Main 
In Rangbarange Haseen Nazaron Main 
Jesey Mujhe Tumhari Jhalak Dikhti Hey 
Mujhe Onh Main Kia Tum Bhi Patey Ho 

Kia Tum Bhi Younhi Bethey Bethey 
Khwabon Ki Duniya Main Kho Jatey Ho 
Khuli Aankhon Se Main Tu Aey Dost 
Tumharey Sapney Dekhti Hoon 
Tum Bhi Kia Meri Duniya 
Basatey Aur Sawartey Ho 

Kia Tum Bhi Aisi Shairana Baatain Kartey Ho 
Kia Tumhey Bhi Pyar Mohabbat Ke Afsaney 
Sabh Sachey Achey Lagtey Hain 

Kia Tumhey Meri Yeh Sabh Baatain 
Karna Achi Lagti Hain 
Kia Tumhey Mera Pyar Sacha Lagta Hey 

Kia Tum Do Gey Jawab Merey Sawalon Ka 
Kia Tum Mujhe Sabh Sach Sach Batlao Gey 

Kia Tumhey Tumhari Aafi 
Kuch Deewani Pagal Lagti Hey 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385