donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh To Ikk Pall Bhi Mujhe Sochta Na Hoga *
Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain 
Woh To Ikk Pall Bhi Mujhe Sochta Na Hoga 

Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhti Rehti 
Ikk Nazzar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga 

Yeh Labb Jo Sada Osska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian 
Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga 

Ossey Sadain Daita Rehta Hey Yeh Pagal Dil Mera 
Aik Pukar Bhi Kabhi Dil Oska Mujhe Daita Nahi Hoga 

Meri Ankhain Dekhti Hain Har Pall Rasta Oska 
Woh To Youn Pall Pall Mera Inteezar Karta Na Hoga 

Jiskey Liye Mera Bhawla Mann Tarasta Rehta Hey 
Shabb-e-Tanhai Main Meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga 

Haathon Ki Lakeeron Main Ossko Dekha Hey Mainey 
Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga 

Osska Ehsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manidd 
Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga 

Apney Naam Ko Main Osske Naam Se Jor Daiti Hon 
Merey Aur Osske Rishtey Ka Ossey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga 

Jissko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi 
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga 

Ban Chukka Hey Woh Meri Manzil Meri Taqdeer 
Kabhi Bhi Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Aik Karta Nahi Hoga 

Itni Door Hey Mujhse Phir Bhi Merey Kitney Kareeb Hey 
Oss Ne To Kabhi Mujhe Mehsoos Hi Kia Nahi Hoga 

Tumne To Aafi Apney Wajood Ko Rang Dia Hey Oski Chah Main 
Kabhi Socha Hey Tumne Woh Shaks Tumse Pyar Karta Bhi Hoga? 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329