donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tarey To Bohat Hi Chamaktey The *
Tarey To Bohat Hi Chamaktey The 
Per Main Sirf Ikk Tarey Ko Takti Thi 
Woh Jo Kabhi Jalta Aur Bhojta Tha 
Ju Chanda Ko Dor Se Takta Tha 
Timtamata Tha Woh Har Dam 
Woh Bhi Meri Terah Tarapta Tha 

Roshni Itni Na Hoti Thi 
Magar Phir Bhi Chanda Ki Khatir 
Madham Sa Roshan Rehta Tha 
Sitaron Ki Mehfil Main Kuch 
Tanha Aur Chup Chup Hota Tha 

Meri Terah Woh Bhi To 
Roswa Aur Thokraya Lagta Tha 
Khamosh Sa Ghabraya Sa 
Woh Sharmata Tha Sabh Taron Se 
Jabh Sabh Tarey Hastey Gatey The 
Dor Khara Woh Muskata Tha 

Darta Tha Hichkichata Tha 
Bas Chanda Ko Takta Rehta Tha 
Aur Aahain Bharta Rehta Tha 

Main Jabh Tanha Akeli Hoti Thi 
Raat Ko Jabh Asman Ko Takti Thi 
Tarey To Bohat Hi Hotey The 
Per Main Sirf Oss Tarey Ko Takti Thi 
Jo Aafi Jesa Lagta Tha 
Jo Deewana Pagal Lagta Tha 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368