donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kia Tum Jantey Ho *
Kia Tum Jantey Ho 
Jabh Sabh Soya Kartey The 
Kabhi Taaron Ko Kabhi Chanda Ko 
Pehron Main Taakti Rehti Thi 

Andherey Main Tareeki Main 
Sabh Se Chup Chup Kar 
Main Cha’tt Per Tehalti Rehti Thi 

Hawaon Ko Choti Rehti Thi 
Tumhey Mehsos Kia Karti Thi 
Badloon Se Baatain Karti Thi 
Jugnoun Ko Pakra Karti Thi 

Main Aankhein Band Kar Ke 
Tumhari Tasveerain Bonti Rehti Thi 
Kabhi Hasta Kabhi Rotha 
Tumhey Paer Poudon Main Paati Thi 
Rang Barange Pholon Se 
Mujhey Tumhari Hi Khushbo Aati Thi 
Har Shea Main Sirf Tumhari Hi Soorat Dikhti Thi 

Thanda Taez Hawa Ka Jhonka 
Jabh Mera Anchal Uraya Karta Tha 
Jabh Meri Kali Zulfein 
Merey Galoon Ko Choa Karti Thin 
Main Sapno Ki Duniya Se Wapis Aya Karti Thi 
Phir Khamoshi Ke Onh Pehron Main 
Kabhi Na Rokney Waley Aanso Bahaya Karti Thi 

Tabh Sabh Rokk Sa Jata Tha 
Woh Pal Woh Lamha Thamm Jata Tha 
Waqt Thehar Sa Jata Tha 
Sana’tta Shor Machata Tha 
Meri Sisskiyan Aahain Bharti Thin 
Mera Toota Sapna Mujhey 
Bohat Hi Chubta Tha Tarpata Tha 
Aur Phir Mera Dil Bhi Meri Roh Sang Rota Tha 

Jabh Tum Chaley Gaye The Younhi 
Kia Tum Jantey Ho Bekhabbar Ajnabi 
Tumhari Deewani Aafi 
Tumhey Kitna Yaad Kia Karti Thi 
Tumhey Kitna Pukara Karti Thi 
Tumhey Kitna Socha Karti Thi 
Kia Tum Jantey Ho 
Kia Tum Jantey Ho ……… 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388