donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main Akeli Thi, Tanha Thi .. *
Main Akeli Thi, Tanha Thi .. 
Bezari Aur Laachari Main , 
Jabh Nikli Bahir Ghar Se Main. 
Thandi Hawa Ne Mujhe Galay Lagaya , 
Merey Chehrey Se Balon Ko Hataya. 

Phir Garjay Badal Meri Ahoon Pe , 
Aur Ro Dia Asman Bebassi Pe Meri. 
Paani Ki Girti Bondon Ne , 
Merey Aanson Ko Saf Kia. 

Phir Main Akeli Kabh Thi.. 
Kuch Sokhey Pattey Paas The , 
Jo Merey Gird Bikhrey The. 
Woh Bhi To Kitney The Badnaseeb !! 
Bichar Gaye The Pae'roon Se, 
Aur Haath Charey The Fizaon Ke. 

Main Onh Sokhe Patton Sang, 
Kharri Thi Tanha Barish Main !! 
Aur Keh Rahi Thi Boondon Se , 
Pooch Rahi Thi Behtey Paani Se , 
Kion Ponch Rahe Ho Yeh Aanso? 
Jabh Rota Har Pal Dil Mera Hai ! 
Kion Nahi Baha Ley Jatey Tum, 
Ghum Merey, Yeh Dukh Merey !! 

Matt Poncho Inh Ansoon Ko.. 
Mujhpe Ikk Ehsan Karo !! 
Baha Leyjao Badnaseebi Meri , 
Baha Leyjao Meri Yeh Tarap. 
Aur Kar Dalo Azad Mujhe , 
Bigri Taqdeer Ki Zanjeeron Se. 
Bakhsh Do Mujhe Woh Zindagi , 
Mussarat Jiska Naam Hey. 

Haan Main Barish Main.. 
Tanha Khari Roi Hoon !! 
Phir Aaj Sabhse Chup Chup Ke , 
Apni Qismatt Per Roi Hoon ! 
Haan .. Aaj Phir Main Roi Hoon !!! 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370