donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuch Loug Aisey Bhi Hotey Hain *
Kuch Loug Aisey Bhi Hotey Hain 
Jo Hastey Hain Hasatey Hain 
Per Ander Hi Ander Rotey Hain 
Jo Hassi Main Sisskiyan Chupatey Hain 

Shabb Ki Tanhai Main Jabh Sabh Sotey Hain 
Woh Chupke Chupke Tanha Rotey Hain 

Aur Aisey Bhi Tu Insan Hote Hain 
Haqeeqat Se Jo Dartey Hain 
Apni Duniya Main Gomsom Rehte Hain 
Sapno Aur Khwabon Main 
Sabhi Arman Porey Kartey Hain 

Auron Se Alag Woh Hote Hain 
Wohi Hain Jo Mehfilon Main 
Tanha,Tanha Hote Hain 

Haan Aisey Bhi Banday Hote Haain 
Sakht Pather Se Woh Hotey Hain 
Per Ander Mo'm Hotey Hain 
Bilkul Toota Ainah Hote Hain 

Dil Ki Kirchion Ko Ikhata Rakhtey Hain 
Aur Aapne Toote Diloon Se Woh 
Onh Logon Ko Kion Chahte Hain 
Jo Dard-e-Dil Ka Sabab Hotey Hain 

Aafi Tumhari Terah Woh Deewaney 
Kuch Pagal Pagal Hotey Hain 
Pholon Ka Daman Chor Ke Woh 
Kanto Ko Apnatey Hain 
Dukh Ko Hass Ke Galey Lagatey Hain 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352