donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh Jabh Tanha Tha Akela Tha Challa Aya woh Paas Merey *
Woh Jabh Tanha Tha Akela Tha 
Challa Aya woh Paas Merey 
Oss Din Se Aaj Takk Woh Shaks 
Apna Sa Kion Lagta Hey 

Udas Tha Woh Bikhra Tha 
Mujhe Bata Diye Ossne 
Apney Tamam Ghum 
Main Shareek Houn Osski Zaat Main 
Mujhe Kuch Aisa Kion Lagta Hey 

Oss Per Aitabar Hey Mujhe Iss Qaddar 
Ke Abh Yeh Sara Jahan 
Jhoota Kion Lagta Hey 

Woh Na Ho To 
Sabh Adhora Aur Ujra Dikhta Hey 
Woh Aye To Sabh 
Sar-o-Shadaab Nikhra Kion Lagta Hey 

Aur Jabhse Pukara Ossne 
Mujhe Merey Naam Se 
Sabhi Namon Main Apna Naam 
Kuch Acha Kion Lagta Hey 

Ossne Kaha 
Mujhse Acha Koi Nahi 
Mujh Ko Apna Aap 
Abh Khud Sa Kion Nahi Lagta 

Main Muskurana Bhi Nahi Chahti 
Aur Woh Mujhe Itna Hasata Hey 
Mujhe Iss Zamanay Main 
Woh Hi Sabh Se Acha Kion Lagta Hey 

Mera Jeena Mera Marna 
Hey Ossi Ke Naam Abh 
Main Osski Hoon Woh Mera Hey 
Yeh Sapna Abh Haqeeqat Kion Lagta Hey 

Judai Ke Naam Per 
Chalakk Parey Aansoo Osski Ankh Se 
Mujhe Oss Pall Se Oss Ka Pyar 
Sacha Kion Lagta Hey 

Aafi Woh Tu Hey Ikk Ajnabi Shaks 
Rastey Hain Juda Tum Dono Ke 
Phir Tumhey Woh Anjan 
Yeh Sara Jahan Kion Lagta Hey 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380