donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main Apney Babul Ki Guriya Thi *
Main Apney Babul Ki Guriya Thi 
Nadaan Si Thi, Masoom Thi Main 
Har Baat Se Main To Anjan Thi 
Zindagi Ko Samjhti Asaan Thi Main 

Per Jabhse Baap Ka Saya Choota Hey 
Mera Harr Ikk Sapna Toota Hai 

Sabhne Bholey Pann Aur Sadgi Ka 
Faida Uthaya Aur Loota Hey 

Sabh Ke Chehron Se Nikaab Hain Otar Gaye 
Asli Chehra Logon Ka Daikha Hey 

Oh Baba ! Yeh Duniya Terey Bin 
Bhayanak Hey, Bohat Hey Khoofnaak 

Main Darri Hoi Hoon Sehmi Si 
Tooti Hoi Hoon, Bikhri Si 

Abh To Sabhse Akeley Larna Hey 
Agey Tanha Hi Bharna Hey 

Karrwi Sachai Hey Duniya Ki 
Abh To Payala Bharr Bharr Zehr Peena Hey 

Merey Laad Uthaney Wala 
Woh Saya Mujhe Bachaney Wala 
Mujhse Rabb Ne Cheena Hey 

Babul Abh Bhi Main Teri Guriya Hoon 
Bas Haal Hey Mera Ojra Ojra 
Toota Toota, Bhikra Bhikra 

Main Aaj Bhi Teri Guriya Hoon 
Main Apney Babul Ki Guriya Hoon!! 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361