donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chaha Hey Ossey Chahti Hoon Sada Chahoon Gi *
Chaha Hey Ossey Chahti Hoon Sada Chahoon Gi 
Main Tu Ossko Hi Iss Duniya Main Apna Manongi 

Chahe Sirf Aanso Aur Takleef Mili Hey Osske Damman Se 
Main Phir Bhi Ossey Apni Mossarat Aur Saqoon Manongi 

Main Jisske Liye Kuch Bhi Nahi, Hoon Beymaini 
Ossi Shaks Ko Apney Dono Jahan Manongi 

Beshak Woh Mujhe Chor Dey Zamaney Ki Khattir 
Oss Ke Aik Isharey Per Main Yeh Kainat Thokra Doungi 

Osska Har Aik Zulm-o-Sitam Seh Loungi Kuch Na Bolongi 
Apney Aansoun Se Oss Ke Dil Ke Dagh Mitta Doungi 

Aik Bhi Aanch Oss Per Main Aney Na Doungi 
Main Khud Jal Kar Ossey Karri Dhoop Se Bacha Loungi 

Kisi Ko Osey Zamaney Main Bora Kehney Na Doungi 
Main Sabhi Ilzam Osske Apney Ser Ley Loungi 

Osske Qadmon Main Rakh Dongi Sabhi Khushiyan Hayat Ki 
Main Apney Khoon Se Osski Zindagee Main Rang Bhakairon gi 

Udas Honey Na Doungi Kabhi Na Doungi Ossey Roney 
Oss Ke Hissey Ke Ashq Bhi Hassi Khushi Main Baha Loungi 

Choora Loungi Osske Haath Se Sabhi Ranj-o-Dukh Ki Lakeerain 
Apney Anchal Main Sabhi Raaz Osske Main Chuppa Loungi 

Main To Dard Aur Mayosi Ko Apney Ceeney Se Laga Loungi 
Khushi Kia Jo Kuch Bhi Hey Mera Oss Per Qurban-o-Nichawar Kar Daloungi 

Tallhee Aur Fasla Hi Sahi Osske Merey Rishtey Main 
Torna Chahe Bhi Koi To Na Tor Paye Main Itna Pokhta Banaongi 

Aafi To Khud Ko Oss Ke Naam Kar Jayegi 
Fanna Bhi Ho Jaye To Kia Sada Ossi Ki Kehlaye Gi 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347