donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har Ikk Shaks Ki Iss Duniya Ke Afsaney Main *
Har Ikk Shaks Ki Iss Duniya Ke Afsaney Main 
Mohabbat Ki Ikk Apni Dastan Hoti Hey 

Sabh Ke Dilon Pe Kisi Ke Naam Ki Mohrain Hain Lagi Hotin 
Har Aik Ko Zaroor Kisi Na Kisi Se Pyar Hota Hey 

Tamam Omr Kuch Pyar Ko Chupaney Main Guzar Daitey Hain 
To Kuch Kholla Izhaar Kar Ke Duniya Main Badnam Hotey Hain 

Dil Hotey Hain Kuch Tootey Hoey Zakhmi Aur Piyasey 
Aur Kahi Dilon Ke Bhag To Shadaab Hotey Hain 

Paata Hey Koi Duniya Main Manzil Aur Khushian Sabhi 
Kuch Ki Kamai To Bas Dard Aur Ghum Hi Hotey Hain 

Qismat Waley To Sacha Pyar Apna Paa Hi Laitey Hain 
Pyar Ko Haar Kar Bhi Kuch Loug Jeet Jatey Hain 

Guzartey Hain Omr Kuch Kisi Ko Bhool Janey Main 
Kisi Ki Zindagi To Sirf Kisi Ki Yaad Hoti Hey 

Kuch Sonatey Hain Mohabbat Ke Kissey Namm Ankhoon Se 
Aur Kuch Pyar Ki Kahani Sonatey Muskuratey Hain 

Koi Kisi Ki Yaad Main Tarapta Rehta Hey 
Aur Kisi Ki Bewafai Main Koi Neel Bahata Hey 

Dekha Jaye To Zindagi Ki Kathin Rahon Main 
Har Koi Roswa Aur Tanha Hi Hota Hey 

Duniya Ke Iss Wasih Afsaney Main Aafi 
Har Ikk Ki Apni Aik Dastan Hoti Hey 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336