donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Afzal Naveed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tum aagaye ho waha'n par koii bhatakta hai *
Tum aagaye ho waha'n par koii bhatakta hai
Pata karo kabhi jakar koii bhatakta hai

Woh khirkiya'n woh dariche sadayen dete hai'n
Aur un makano'n ke undar koii bhatakta hai

Purane bagh ka bargad jaha'n kua'n bhi hai
Waha'n kheza'n zadah aksar koii bhatakta hai

Qadam ke sath nayee manzilo'n ki aahat bhi
Qadam ke sath barabar koii bhatakta hai

Mai'n nind me'n chala jata hoo'n aur sari raat
Had-e-wojood-o-adam par koii bhatakta hai

"Nawed" hath jaha'n par chhute the hatho'n se
Waha'n safar se palat kar koii bhatakta hai

			15429, Adams Street No. 103,
			Omaha , Ne, 68137 (U.S.A)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 299