donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Agha Hajju Sharaf
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* javānī aa.ī murād par jab umañg jaatī rahī bashar kī *

javānī aa.ī murād par jab umañg jaatī rahī bashar kī 
nasīb hote hī chaudhvīñ shab shikoh ruḳhsat huī qamar kī 
vo shoḳh chitvan thī kis sitam kī ki jis ne chashmak kahīñ na kam kī 
kisī taraf ko jo barq chamkī to samjhe gardish use nazar kī 
tirā hī duniyā meñ hai fasāna tirā hī shaidā.ī hai zamāna 
tire hī ġham meñ huiiñ ravāna nikal ke rūheñ ḳhudā.ī bhar kī 
na āsmāñ hai na vo zamīñ hai makāñ nahīñ vo jahāñ makīñ hai 
payambaroñ kā guzar nahīñ hai rasā.ī hai mere nāma-bar kī 
khiñchā jo tūl-e-shab-e-judā.ī añdherī madfan kī yaad aa.ī 
nigāh o dil par vo yaas chhā.ī umiid jaatī rahī sahar kī 
jo ishq-bāzoñ ko āzmāyā lagā ke chhuriyāñ ye qahr Dhāyā 
yahāñ yahāñ tak lahū bahāyā ki naubat aa.ī kamar kamar kī 
gire jo kuchh surḳh gul zamīñ par kahā ye bulbul ne ḳhaak uḌā kar 
huā hai va.ada mirā barābar ye sūrateñ haiñ mire jigar kī 
maqām-e-ibrat hai aah ai dil ḳhudā hī kī hai panāh ai dil 
nahīñ hai kuchh zād-e-rāh ai dil adam se tākīd hai safar kī 
ye ham ne kaisā safar kiyā hai musāfiroñ ko rulā diyā hai 
ajal ne āġhosh meñ liyā hai ḳhabar bhī ham ko nahīñ safar kī 
vo jald yā-rab inhīñ ko taake lagā de do tiir in par aa ke 
ye donoñ rah jaa.eñ phaḌphaḌā ke maiñ dekhūñ lāsheñ dil o jigar kī 
kisī kā ma.ashūq chhūTtā hai sahar kā vaqt us ko lūTtā hai 
koī ye siine ko kūTtā hai nahīñ hai āvāz ye gajar kī 
khichā hai zartār shāmiyāna guloñ se aatī hai bū shahāna 
dikhā ke qudrat kā kārḳhāna lahad ne hasrat bhulā dī ghar kī 
ġhashī kā aalam vo zor par hai mizāj-e-sehhat se be-ḳhabar hai 
davā kā ġhaflat-zada asar hai ḳhabar davā ko nahīñ asar kī 
shabāb ne ḳhud-numā banāyā ye nāz-e-ḳhushrūī ne jatāyā 
hayā meñ jis vaqt farq aayā to un ke mukhḌe se zulf sarkī 
huā huuñ chaurañg teġh-e-hasrat ki dafn kī hai mirī ye sūrat 
kisī taraf ko hai dil kī turbat kahīñ hai turbat mire jigar kī 
jo us ne zid kī to aafat aa.ī duhā.ī dene lagī ḳhudā.ī 
qayāmat us bevafā ne Dhaa.ī idhar kī duniyā 'sharaf' udhar kī 

88888888888888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 95