donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Agha Hajju Sharaf
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* chalte haiñ gulshan-e-firdaus meñ ghar lete haiñ *

chalte haiñ gulshan-e-firdaus meñ ghar lete haiñ 
tai ye manzil jo ḳhudā chāhe to kar lete haiñ 
ishq kis vāste karte haiñ parī-zādoñ se 
kis liye jaan par aafat ye bashar lete haiñ 
dekhne bhī jo vo jaate haiñ kisī ghā.el ko 
ik namak-dāñ meñ namak piis ke bhar lete haiñ 
ḳhaak uḌ jaatī hai suthrāv udhar hotā hai 
nīmchā kheñch ke vo baag jidhar lete haiñ 
maiñ vo bīmār huuñ allāh se jā ke iisā 
mire nusḳhoñ ke liye hukm-e-asar lete haiñ 
yaar ne luuT liyā mujh vatan-āvāra ko 
log ġhurbat meñ musāfir kī ḳhabar lete haiñ 
is taraf haiñ ki jharoke meñ udhar baiThe haiñ 
jā.eza kushtoñ kā apne vo kidhar lete haiñ 
Thiik us rashk-e-chaman ko vo qabā hotī hai 
naap kar jis kī rag-e-gul se kamar lete haiñ 
kuchh Thikānā hai parī-zādoñ kī be-rahmī kā 
ishq-bāzoñ se qisās aaTh pahar lete haiñ 
ye nayā zulm hai ġhussa jo unheñ aatā hai 
be-gunāhoñ ko bhī māḳhūz vo kar lete haiñ 
shohrat us said-e-vafādār kī uḌ jaatī hai 
tiir meñ jis ke lagāne ko vo par lete haiñ 
kahte haiñ hūroñ ke dil meñ tire kushtoñ ke banāv 
is liye ḳhuuñ meñ nahā kar vo nikhar lete haiñ 
kis qadar nāma-o-paiġhām ko tarsāyā hai 
bhejte haiñ ḳhabar apnī na ḳhabar lete haiñ 
dam nikalte haiñ kalejoñ se lahū jaarī hai 
saañs ulTī tire taftīda-jigar lete haiñ 
chal khaḌe hoñge to hastī maiñ na phir Thahreñge 
jān-e-jāñ chand nafas dam ye bashar lete haiñ 
hai ishāra yahī mū-hā-e-mizha kā un kī 
ham vo nashtar haiñ ki jo ḳhūn-e-jigar lete haiñ 
sāmnā karte haiñ jis vaqt gadā kā tere 
bādshah taḳht-e-ravāñ par se utar lete haiñ 
sikka-e-dāġh-e-junūñ paas haiñ rahnā hoshyār 
log raste meñ 'sharaf' jeb katar lete haiñ 

8888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 143