donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Agha Hajju Sharaf
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gadā-e-daulat-e-dīdār-e-yār ham bhī haiñ *

gadā-e-daulat-e-dīdār-e-yār ham bhī haiñ 
hameñ na bhūliyo ummīd-vār ham bhī haiñ 
jo banda-parvar o zarra-navāz-e-yār ho tum 
to ye bhī dhyān rahe ḳhāksār ham bhī haiñ 
jagah do ham ko bhī rahne ko tuur par muusā 
bashar haiñ banda-e-parvardigār ham bhī haiñ 
hazār shukr qalam-band haiñ shahīdoñ meñ 
zahe-sharaf ki tire jāñ-nisār ham bhī haiñ 
pasand aa.ī hai parvānoñ kī jo betābī 
idhar bhī dekh lo tum be-qarār ham bhī haiñ 
tamām umr hamārī na aañkh jhapkegī 
javān-e-ma.arka-e-intizār ham bhī haiñ 
unhīñ kī bū se mo.attar dimāġh hai apnā 
vo rashk-e-gul haiñ to bāġh-o-bahār ham bhī haiñ 
lipaT hī jaao gale se hamāre ḳhalvat meñ 
akele tum bhī ho is vaqt yaar ham bhī haiñ 
jahāñ meñ the ruḳh-e-raushan ke tere parvāne 
umīd-vār-e-charāġh-e-mazār ham bhī haiñ 
kabhī na likhyo ishāra bhī ham ko chashmak kā 
javāb likhne meñ jādū-nigār ham bhī haiñ 
ḳhabar hai husn-parastoñ ko vo navāzeñge 
hazār shukr ki ummīd-vār ham bhī haiñ 
ġhubār din ko haiñ shab ko chaman meñ haiñ ḳhushbū 
ajab do-rañgī-e-lail-o-nahār ham bhī haiñ 
nishāna tākegā koī to dil pukāregā 
kisī ke tiir ke qābil shikār ham bhī haiñ 
bahār-e-gul meñ shahīdoñ kī rūheñ kahtī haiñ 
'sharaf' miTe hue naqsh-o-nigār ham bhī haiñ 

88888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 127