donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Agha Qazalbash Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dil sard ho gaya hai tabiat bujhi hui *

dil sard ho gaya hai tabiat bujhi hui
ab kya hai wo utar gai naddi chaDhi hui
tum jaan de ke lete ho ye bhi nai hui
lete nahin saKHi to koi chiz di hui
is TuTe phuTe dil ko na chheDo pare haTo
kya kar rahe ho aag hai is mein dabi hui
lo hum bataen ghuncha-o-gul mein hai farq kya
ek baat hai kahi hui ek be-kahi hui
KHun-rez jis qadar hain wo rahte hain sar-nigun
KHanjar hua kaTar hui ya chhuri hui
'shair' KHuda ke waste tauba ka kya qusur
hai kis ke munh se phir ye subuhi lagi hui

*******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 453