donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab ye hogaa shaayad apnii aag me.n Khud jal jaaye.nge, *
Ab ye hogaa shaayad apnii aag me.n Khud jal jaaye.nge,
tum se duur bahut rah kar bhii kyaa paayaa kyaa paaye.nge,

dukh bhii sachche sukh bhii sachche phir bhii terii chaahat me.n,
ham ne kitne dhoke khaaye kitne dhoke khaaye.nge,

aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa,
ishq ke haatho.n ye bhii hogaa log hame.n samajhaaye.nge,

 

kal ke dukh bhii kaun se baaqii aaj ke dukh bhii ka_ii din ke,
jaise din pahle kaaTe the ye din bhii kaT jaaye.nge,

ham se aabalaa-paa jab tanhaa ghabaraaye.nge saharaa me.n,
raaste sab tere hii ghar kii jaanib ko mu.D jaaye.nge,

[aabalaa-paa = blistered feet; saharaa = desert; jaanib = towards]

aa.Nkho.n se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai,
mujh se chhuT kar bhii ahal-e-Gham kyaa tujh se chhuT jaaye.nge.

[ojhal = invisible/to disappear]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 317