donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Nadeem Qasmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the, *
Vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the,
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the ,

[ fasl-e-gul=spring] 

abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa,
abhii abhii to ham ek-duusre se bichha.De the ,

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii,
kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaGh jalte the ,

tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe,
ye aur baat ki ham aadmii to achchhe the ,

shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii,
pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the ,

[shab-e-Khaamosh=silent night; dasht=desert] 

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar,
jo zindagii se gurezaa.N the roz marte the ,

[hayaat=life; gurezaa.N=to run away from] 

naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n,
hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the ,

 

ye irtiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n,
puraane log naye aadmii se Darte the ,

[irtiqaa=progressive] 

’Nadeem’ jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii,
ki ek chehre ke piichhe hazaar chehre the .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 393