donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Nadeem Qasmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zami’n ko mai’n ne kabhi aasma’n na hone diya *
Zami’n ko mai’n ne kabhi aasma’n na hone diya,
Mata-e-khak ko you’n raega’n na hone diya,

Sanam tarash ke phir us ki guftagu bhi suni,
Ke mai’n ne sang ko bhi be zabaa’n na hone diya,

Yeh raz keya hai ke arz-o-sama ke khalique ne,
Kisi ko apne sewa jhweda’n na hone diya,

Tifooliayt mei’n hai insane mubtala ab tak,
Kisi bhi daur ne us ko jawa’n na hone diya,

Bahar ruk na saki mere rokne se Nadim,
Magar chaman ko sapurde khaza’n na hone diya.
	
					Editor “Funoon” 4,
                                        Maclode Raod,
					Lahore (Pakistan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 443