donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmad Nadeem Qasmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaa_uu.N, *
Maruu.N to mai.n kisii chehare me.n rang bhar jaa_uu.N,
’Nadeem’ kaash yahii ek kaam kar jaa_uu.N ,

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb kii pyaas,
jo izaa.N ho to terii yaad se guzar jaa_uu.N ,

[izaa.N = permission] 

meraa vajuud merii ruuh ko pukaartaa hai,
terii taraf bhii chaluu.N to Thahar Thahar jaa_uu.N ,

tere jamaal kaa partau hai sab hasiino.n par,
kahaa.N kahaa.N tujhe Dhuu.NDhuu.N kidhar kidhar jaa_uu.N ,

[paratau = reflection (saayaa,aks)] 

mai.n zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho,
jo tuu milaa hai to ab sochtaa huu.N mar jaa_uu.N ,

ye sochtaa huu.N ki mai.n but_parast kyuu.N na huaa,
tujhe qariib jo paa_uu.N to Khud se Dar jaa_uu.N ,

kisii chaman me.n bas is Khauf se guzar na huaa,
kisii kalii pe na bhuule se paa.Nv dhar jaa_uu.N ,

ye jii me.n aatii hai taKhliiq-e-fan ke lamho.n me.n,
ki Khuun ban ke rag-e-sang me.n utar jaa_uu.N .

[taKhliiq-e-fan=creation of art] 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365