donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sunaa hai log use aa’nkh bhar ke dekhte hai’n, *
Sunaa hai log use aa’nkh bhar ke dekhte hai’n,
so us ke shah’r mei’n kuchh din Thahar ke dekhte hai’n,
sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalo’n se,
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hai’n,
(rabt : closeness)
sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii,
so ham bhii us kii galii se guzar ke dekhte hai’n,
(chashm-e-naazuk : delicate eyes)
sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shaGhaf,
so ham bhii mojaze apne hunar ke dekhte hai’n,
(shaGhaf : interest; mojaze : miracles)
sunaa hai bole to baato’n se phuul jhhaRhte hai’n,
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai’n,
sunaa hai raat use chaa’nd taktaa rahtaa hai,
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hai’n,
(baam-e-falak : terrace of the horizon)
sunaa hai hashr hai’n us kii Ghazaal sii aa’nkhe’n,
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hai’n,
sunaa hai din ko use titaliyaa’n sataatii hai’n,
sunaa hai raat ko jugnuu Thaher ke dekhte hai’n,
sunaa hai raat se baRh kar hai’n kaakule’n us kii,
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhte hai’n,
(kaakul : tresses)
sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai,
so us ko surmaafarosh aah bhar ke dekhte hai’n,
(surmaafarosh : kohl vendors)
sunaa hai us ke labo’n se gulaab jalte hai’n,
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hai’n,
sunaa hai aa’iinaa tamsaal hai jabii’n uskii,
jo saadaa dil hai’n ban sa’nvar ke dekhte hai’n,
sunaa hai jab se hamaail hai’n us kii gardan mei’n,
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhte hai’n,
(hamaail : something to wear around the neck)
sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa’n mei’n,
palang zaade  us kii kamar ko dekhte hai’n,
(chashm-e-tasavvur : eyes of imagination)
sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai’n,
ke phuul apnii qabaaye’n katar ke dekhte hai’n,
(qabaaye’n : tunic)
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii’n,
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai’n,
(sarv-qad : tall and graceful; shaguufe : bud; samar : fruit)
bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa,
so rah-ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhte hai’n,
sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht,
makii’n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai’n,
ruke to gardishe’n us kaa tavaaf kartii hai’n,
chale to us ko zamaane Thaher ke dekhte hai’n,
kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhte hai’n,
(be-pairahan : without clothes)
Kahaaniyaa’n hii sahii sab mubaalaGhe hii sahii,
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhte hai’n,
ab us ke shahar mei’n Thahare’n ki kuuch kar jaaye’n,
“Faraz” aao sitaare safar ke dekhte hai’n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411