donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham to yu’n Khush the ke ek taar gariibaan mei’n hai, *
Ham to yu’n Khush the ke ek taar gariibaan mei’n hai,
kyaa khabar thii ke bahaar uske bhi armaan mei’n hai,
ek zarb aur bhii ai zindagii tesha-e-badast,
saaNs lene kii sakat ab bhii merii jaan mei’n hai
maiN tujhe kho ke bhi zindaa hoo’n, ye dekhaa tune,
kis qadar hoaslaa haare hue insaan mei’n hai,
faasile qurb ke sholon ko havaa dete hain !
mai’n tere shh’r se duur aur tuu mere dhyaan mei’n hai,
sar diivaar farozaa’n hai, hai abhii ek chiraaGh,
ai naseem-e-sahrii ! kuch tere imkaan mei’n hai,
dil dhaRhakne kii sadaa aatii hai gaahe gaahe,
jaise ab bhii terii aavaaz mere kaan mei’n hai,
khalqat-e-shah’r ke har zulm ke bawasaaf “Faraz”,
haaye vo haath ke apne hii gariibaan mei’n hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 531