donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ahmed Faraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hum sunayaiN to kahaani aur hai *
Hum sunayaiN to kahaani aur hai
Yaar  logoN ki  zabaani  Aur hai
Chaaragar rote haiN taza zakhm ko
Dil ki beemari puraani aur hai
Jo kaha humne wo mazmuN aur tha
TarjumaaN ki tarjumaani aur hai
Hai bisaat E dil laho ki aik booNd
Chasham E purkhuN ki ravaani aur hai
Namabar ko kuch bhi hum paiGhaam daiN
DastaaN us  ne sunaani aur hai
Aab E zamzam dost laaye haiN abas
Hum jo peetay haiN wo paani aur hai
Sab Qayamat QamatoN ko dehkh lo
Kya mere janaaN ka saani aur hai?
Ahl E  dil ki anjuman meN aa kabhi
In ki duniya yaar jaani aur hai
Shairy karti hai ik duniya ‘Faraz’
Par teri saadaa bayaani aur hai
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 499